Teaching of solution astrology and tantra shatkarma is also available

Marakshanand Prabhu, the spiritual guide and activist
WhatsApp: +1-818-396-9387
Email: shabarmantraonline@gmail.com

Dus Mahavidya Mantras

Shakti-Dus Mahavidya Shabar Mantras

Om sat namo adesh, guruji ko adesh, Om guruji Om soham siddh ki kaya, teesra netra trikuti thahraya. Gagan mandal me anhad baja, vahan dekha shivji baitha, guru hukam se bhitri baitha, shunay me dhyan gorakh ditha, yahi dhyan tape mahesha, yahi dhyan brahmaji lagya, yahi dhyan vishnu ki maya. Om kailash giri se ayee parvati devi, jake sanmukh baith goraksh yogi. Devi ne jab diya adesh, nahi liya adesh nahi diya updesh. Sati mann me krodh samayee, dekhun gorakh apne mahi. No darwaze khule kapaat, dasve dware agni prajale. Jalne lagi to paar pachhtayee. Rakhi rakhi gorakh rakhi, main hu teri cheli. Sansaar srishti ki hu main maai. Kaho shiv shankar swamiji, gorakh yogi kon hain ditha. yah to yogi sab me virla, tiska kon vichar. ham nahi jaanat, apni karni aap hi jani. Gorakh dekhe satya ki drishti, drishti dekhkar mann bhaya unmann. Tab gorakh kali bich kahaya. ham to yogi gurmukh boli, siddhon ka marm na jane koi. Kaho parvati deviji apni shakti kon kon samayee. Tab sati ne shakti ki khel dikhayi. Dus mahavidya ki pragatli jyoti.

1. Prathama Jyoti Mahakali Pragatli (Mahakali)
Om niranjan nirakar avgat purush tat saar, tat saar madhye jyot, jyot madhye paramjayot, paramjayot madhye utpann bhai, mata shambhu shivani kali, O kali, kali mahakali, krishan varni, shav vahini, rudra ki poshni, haath khappar khadang dhari, gale mundmaal, hans mukhi. Jivha jwala dant kali. Madya maans kari, shamshan ki rani. Maans khave rakt-pi-pive. Bhasmanti maai, jahan par paai tahan lagaai. Sat ki naati dharam ki beti, indra ki Sali, kaal ki kali, jog ki jogin, nagon ki nagin, mann mane to sang ramai nahi to shamshan phire akeli. Char veer asht bhairi, ghor kali, aghor kali, ajar bajar amar kali, bhakh joon nirbhay kali balaa bhakh, dusht ko bhakh, kaal bhakh papi pakhandi ka bhakh, jati sati ko rakh, Om kali tum bala na vraddha, dev na danav, nar ya nari, deviji tum to ho prabrahma kali.
Om Kreem Kreem Kreem hoom hoom hreem hreem dakshine Kalike hoom hoom hreem hreem kreem kreem kreem swaha

2. Dwitiya Jyoti Tara Trikuta Totla Pragati (TARA).
Om aadi yog anadi maya jahan par brahmand utpann bhaya. Brahmand samaya akash mandal tara trikuta totla mata teeno basai braham kapali, jahan par brahma, vishnu, mahesh utpatti, suraj mukh tape chandra mukh amiras pive, agni mukh jale, aad kunwari haath khadag, gal mundmal murda maar upar khadi devi tara. Neeli kaya, peeli jata, kali dant jivya dabaya. Ghor tara, aghor tara, doodh poot ka bhandar bhara. Panch mukh kare ha ha ∙% ∙% kara, dankini, shakini, bhoot palita sau sau kos door bhagaya. Chandi tara phire brahmandi, tum to ho teen lok ki janni.
Om hreem shreem phat, om aim hreem shreem hoom phat.

3. Tritiya Jyoti Tripur Sundari ragti (SHODSHI–TRIPUR SUNDARI)
Om niranjan nirakar avdhoo mool dwar mai bandh lagai, pawan palte gagan samaai, jyoti madhye jyot le sthir ho bhai om madhya: utpann bhai ugra tripura sundari shakti aavo shiv ghar baitho, mann unmann, budh siddh chitt mai bhaya naad. Teeno ek tripur sundari bhaya prakash. haath chaap shar dhar ek haath ankush. Trinetra abhay mudra yog bhog ki mokshadayini. Eida, Pingla Sushmna devi nagan jogan tripur sundari. Ugra bala, rudra bala, teeno brahmapuri mai bhaya ujiyala. Yogi ke ghar jogan bala, Brahma, Vishnu, Shiv ki mata.
Shreem hreem kleem aim saum hreem shreem km aeel hreem hans kahal hreem sakal hreem so: aim kleem hreem shreem.

4. Chaturth Jyoti Bhuvneshwari pragti (Bhuvneshwari)
Om aadi jyot aanadi jyot, jyot madhye pram jyot-param jyot madhye shiv gayatri bhai utpann, om pratah samay utpann bhai devi Bhuvneshwari. Bala sundri kar dhar var pashaankush annpurni doodhpoot bal de balka riddhi siddhi bhandar bhare, balkana bal de jogi ko amar kaya. Chaudah bhuwan ka rajpat sambhala kate rog yogi ka, dusht ko musht, kaal kantak maar. Yogi bankhand vaasa, sada sang rahe bhuvneshwari mata.
hreem

5. Pancham Jyoti Chhinmasta pragti (Chhinmasta)
Sat ka dharm sat ki kaya, brahma agni mein yog jamaya. Kaya tapaye jogi(shiv gorkha) baita, naabh kamal par chhinmasta, chander soor mein upji sushumni devi, trikuti mahal mein phire bala sundri, tan ka munda haath mein linha, dahine haath mein khappar dharya. Pee pee peewe rakht, barse trikut mastak par agni prajali,, shwet warni mukt kesha kaichi dhaari. Devi uma ki shakti chhaya, parlayi khaye srishti saari. Chandi, chandi phire brahmandi bhak bhak bala bhak dusht ko musht jati, sati ko rakh, yogi ghar jogan baiti, Shri shambhujati gorakhnaath jee ne bhaki. Chhinmasta japo jaap, paap kantante aapo aap jo jogi kare sumiran paap punay se nyara rahe. Kaal naa khaaye.
Shreem kleem hreem aim vjra vairo chneeye hoom hoom phat swaha.

6. Shashtam Jyoti Bhairvi Pragti (Bhairvi)
Om sati Bhairvi Bhairo kaal yam jaane yam bhoopal teen netar tara trikuti, gale mein mala mundan ki. Abhay mudra peeye rudhir nashwanti. Kala khappar haath khanjar, kalapeer dharm dhoop khewante waasna gai satwe patal, satew patal madhye paramtatv mein jot, jot mein param jot, Param jot mein bhai utpann kaal bhairvi, tripur bhairavi, sampat prada bhairavi, kaulesh bhairvi, siddha bhairvi, vindhvansini bhairavi, chaitany bhairavi, kameshwari bhairavi, shatkuta bhairavi, nitya bhairavi. Jpa ajpa goraksh japnti yahi mantar matsyendranaath jee ko Sada Shiv ne kahayi. Riddh phooro shiddh phooro sat shri shambhujati guru gorakshnaath jee annat koti siddha le utregi kaal ke paar, bhairavi bhairavi khadi jin sheesh par, door haate kaal janjaal bhairavi mantar baikunt waasa. Amar lok mein hua niwasa.
Om hransam hrasklreem hrastro.

7. Saptam Jyoti Dhoomavati pragati (Dhoomavati)
Om patal niranjan nirakaar, aakash mandal dhundhukaar, aakash disha se kaun aayi, kaun rath kaun aswaar, aakash disha se dhoomavanti aayi, kaak dhwaja ka rath asvaar thare dharti thare aakash, vidhwa roop lambe haath, lambhi naak kutil netra dushta swabhav, damroo baaje bhdarkali, kalesh kalah kalratri. Danka dankni kaal kit kita haasy kari. Jeev rakshante jeev bhakshante jaya jeeya aakash tera hoye. Dhoomavantipuri mein vaas, na hoti devi na dev tahaan na hoti pooja na paati tahaan na hoti jaat na jati tab aaye shri shambhujati guru gorakshnath aap bhai ateet.
Om dhoom dhoom dhoomavati fat swaha.

8. Ashtam Jyoti Baglamukhi pragti (Baglamukhi)
Om so so suta samundar tapu, tapu mein thapa sinhasan peela. Sinhasan peele upper kaun baise sinhasan peela upper baglamukhi baise, baglamukhi ke kaun sangi kaun saathi. Kachhi bachhi kaak-kutiya-swan chidiya, om bagla bala haath mugdar maar, shatru hariday par swar tiski jeevha khichche bala. Baglamukhi marni karni uchchatan dharni, anant kot siddho ne maani.
Om harileem brahamastrayen vidmahe stmbhanbanaaye dheemhi tanno bagla prachodyaat.

9. Navmi Jyoti Matangi pragti (Matangi)
On gurujee shunya shunya mahashunya mein onkaar omkaar mein shivam shivam mein shakti-shakti aptne uhaj aapo aapna, shubhay mein dhaam kamal mein vishraam, aasan baithi, sihaansan baithi pooja poojo maatngi bala, sheesh par shashi amiras pyala haath khadag neeli kaya. Balla par asvari ugar unmat mudradhari, ud guggul paan supaari, kheere khande madya maanse ghrit kunde sarvangdhari. Bund matren kadva pyala, maatangi mata tripyante. Om maatngi sundri, roopvanti, kaamdevi, dhanvanti, dhandati, annpurni anndaati, maatangi jaap mantar jape kaal ka tum kaal ko khaye. Tiski raksha shambhujti guru gorakshnaath jee kare.
Om hreemm kleem hoom matangye fat swaha

10. Dasvi Jyoti Kamla pragti
Om ayoni shankar omkar roop, kamla devi sati parvati ka savroop. Haath mein sone ka kalash mukh se abhay mudra. Shwet varn seva pooja kare, narad indra. Devi devatya ne kiya jai onkaar. Kamla devi poojo keshar paan supari, chakmak cheeni phatri til guggal sahstr kamlon ka kiya hawan. Kahe gorakh, mantar japo jaap japo riddhi siddhi ki pahchaan ganga gaurja parvati jaan. Jiski teen lok mein bhaya maan. Kamla devi ke charan kamal ko aadesh.
Om hareem kaleem kamla devi fat swaha:

Suno parvati hum matsyender poota, aadinath naati, hum shiv swaroop ulti thapna thapi yogi ka yog, das vidhya shakti jano, jiska bhed shiv shankar hee payo. Shiddh yog maram jo jaane virla tisko prsann bhayi mahakalika. Yogi yog nitay kare pratay use varad bhuvneshvari mata. Sidhasan siddh, bhaya shmshani tiske sang baiti baglamukhi. Jogi khad darshan ko kar jaani, khul gaya tala brahmand bhairvi. Nabhi sthane udiyyaan bandhi Manipur chakar mein baiti, chhinmasta rani. Omkar dhayan lagya trikuti, pragti tara bala sundri. Patal jogan (kundlini) gagan ko chadi, jahaan par paithi tripur sundry, Aalas modey, nindra tode tiski rakhsha devi dhoomavanti kare. Hansa jaye daswen dware devi maatangi ka aavagman khoje. Jo kamla devi kee dhooni chetaye tiski riddhi siddhi se bhandar bhare. Jo dashvidha ka sumiran kare, paap punay se nyara rahe. Yog abhyaas se bhaye siddha aavagman nivrate. Mantar pade so nar amar lok mein jaaye. Itna das mahavidhya mantar jaap sampooran bhaya. Annat kot siddhon mein, godavari trayambak kshetar anupaan sheela, avalgad parvat par baith shri shambhujati guru gorakshnaath jee ne pad kath kar sunaya shri naathji guruji ko aadesh . Aadesh.

Feel free to contact Guruji as following to ask your questions or solve your problems. He will guide you more.

Kulbhushan Swami
Ph: +91-9958757955.
Email: shabarmantraonline.gmail.com

No comments: